Saleebi Jang History In Urdu Saleebi War Crusades Wars Saleebi Jang Information

  Lal Gulab      
Saleebi Jang History In Urdu - Saleebi War ka english meaning hai Crusades War ye eesaiyon ki taraf se lari gyi jangon ka aik sillsila hai.

Taruf:
1095 se 1291 tak arz falasteen bilkhasoos bait-ul-muqaddas par eesai qabza bahal karne ke liye europe ke eesaiyon ne kayi jangain larien jinhain tarikh mein saleebi jangon ke naam se jana jata hai. Ye jang palestine aur sham ki hadood mein saleeb ke naam par lari gyi. Saleebi janon ka ye silsila taweel arsa tak jari rahi aur is doran 9 bari jangain lari gayien jis mein lakhon insan qatal hue. Ye sarzameen Musalmanon ke qabza mein rahi aur eesaiyon ne zamana daraz tak is qabza ke khilaf awaz nahin uthai. 11th sadi ke akhir mein bait-ul-muqaddas ki fatah ka khayal paida hua.

Saleebi Jang Ke Asbab: Saleebi jangon ke asal asbab mazhbi thay magar isay baaz siasi maqsad ke liye istemal kiya gya ye mazhbi asbab khuch muashrati pas-e-manzar bhi rakhte hain aur un saleebi wars ka koi aik sabab nahin magar mazhabi pas-e-manzar sub se aham hai.

Pehli Saleebi Jang: Pop ke elan ke baad 4 lashkar bait-ul-muqaddas ki fatah ke liye rawana hue un loggon ne rastay mein apne ham mazhab logon par zulam kiya ye char lashkar mukhtalif alaqon ko rawana hue thay aur unhon ne Musalmanon par bohat zulam kiya aur bachon ko bhi na chhora aur unhon ne bohat se alaqay fatah kar liye.

Dusri Saleebi Jang: Amad-ud-deen ki wafat ke baad 1144 mein us ka laiq beta Noor Ud Din Zangi us ka janasheen hua. Saleebiyon ke muqablay mein woh apne baap se kam mustanad na tha. Takhgt nasheen hone ke baad us ne Musalmanon mein aik nayi ruh phoonk di aur eesiyon se kafi alaqay cheen liye aur unghain har mahaz par shikast di aur ruha ke shehar par qabaz ho gye. Puray europe mein esaiyon ki shikaston ki khabrain pohanchien tou aik baar phir dusri saleebi jang ka ilan kiya gya aur is tarah second crusades war kla aghaz hua.

Ye mazmoon abhi jari hai agar aap ko saleeni jang se mutaliq mazeed maloomagt chahiyien tou yahan par comment mein batayien aap ke liye is article ko update kar diya jaye ga.

tags: salibi jang, saleebi jang story in urdu and hindi
logoblog

Thanks for reading Saleebi Jang History In Urdu Saleebi War Crusades Wars Saleebi Jang Information

No comments:

Post a Comment