Italy History In Urdu Italy Information Italy Culture Tareekh In Hindi

  Lal Gulab      
Italy History In Urdu - Italy janoobi europe mein waqia aik jazeera numa mulk hai roomi salgtanat aur tehzeeh italy country se ghi shuru hoi thi. Log isay english ki naqal mein urdu mein bhi italy kehte hain italy ko esaiyat ka garh kaha jata hai. Roman Catholic firqay ke romani peshwa vetican city mein rehaish pazeer hai. Yahan ki language Italian aur government system jamhooria hai ye 25 march 1957 ko european union kla rukan bana tha.


Italy Information In Urdu: Italy aik jazeeray ki tarah ka mulk hai jis ki 4 dunya ke baray aur mashoor mulkon se milti hain. Italy ka area 301318 muraba km hai jahan taqreeban 6 crore nafgoos abad hain. Ye europe mein population ke lihaz se 4th aur dunya mein 23 number par anay wala bara mulk hai. Pehle yahan ki currency lira thi jis ki jagah ab euro ne le li hai. Italy mulk dunya ka taraqi yafta aur athwan (8th) buland tareen mayar zindagi aur GDP ki sharah ke lihaz se satwien bari economy hai. Italy nato ka bani rukan hai jo ke G8 mein bhi shamil hai. Mazhab ke lihgaz se ye eesai riyasat hai jahan 90% abadi eesai, 7% kisi mazhab ko na mannay wale aur 2% Musalman hain. Waqt mein italy Pakistan se  4 hours pechay hai yahan sharah khawandgi 99% hai aur baramdat mein machines, chamra, textile, chemicals, paper aur cars waghera shamil hain.

Italy Ki Tareekh Pas-e-Manzar: Zamana qadeem mein romi saltanat ka capital rome tha is saltanat ka pehla badshah 27 qabal masih mein takht par baitha is se pehle rome aik jamhooria tha. Maghribi romi saltanat 4 september 476 ko germanon ke hathon tabah hoi maghribi tehzeeb ki saqafat (culture), zuban, tarz-e-hukumat mein aaj bhi romi saltanat ki jhalak nazar atgi hai.

Italy Weather In Urdu Italy Ka Mausam: Italy ke mukghtalif alaqon mein mukhtalif mausam hota hai yani ke mulk mein aik hi waqt garmi aur sardi ke mausam mojood hotay hain is ka janoobi hisa garam jabkeh shumali sard hai.

Italy Government aur Political System: 2 june 1946 ko italy mein refrendum ke natijay mein parliament qaim hoi jabkeh 1948 ko baqaida aik ain tashkeel hua. Italy ki adliya azad hai government mudakhlat nahin karti yahan par sadar ko 7 saal ke liye donon aiwanon se muntakhib kiya jata hai aik aiwan mein 630 aur dusre mein 315 members hotay hain.

Italy Ki Fauj: Italy ki military ka sarbarah sadar hai fauj mein aik lack 86 hazar baqaida jabkeh 1 lack 14000 ke qareeb reserve nafri mojood hai Italy nato ke sath apne atomic hathyaron ka tabadla karta hai ye difa par zayada raqam kharch karne wale mumalik mein 8th number rakhta hai.

tags: italy history in hindi
logoblog

Thanks for reading Italy History In Urdu Italy Information Italy Culture Tareekh In Hindi

No comments:

Post a Comment