Gajar Ke Faide In Urdu Carrot Benefits Urdu Gajar Ka Juice For Skin Health Beauty Tips

  Lal Gulab      
Carrot Benefits Urdu - Gajar Ke Faide Hindi - Isay sindi urdu aur hindi language mein Gajar hi kehte hain. Carrot pakane, kachi khane aur achar banane mein aam istemal hoti hai. Aaj kal gajar ka juice nikal kar piya jata hai is ki kanji bhi banai jati hai jo ke aam tor par kalay rang ki gajron se banti hai is ki 3 types hain safaid, sarf aur sharbati. Gajar ka halwa bhi banaya jata hai is ke azja mein folaad, protien, glucose hota hai gajar khane ke faide hasl-e-zail hain.
1: Gajar jigar ke saday kholti hai aur jism ko taqat dene mein lasani hai.
2: Kidney ki pathri gajar ke juice se toot kar kharij ho jari hai.
3: Gajar ka halwa jism ko taqat deta hai rozana 1 glass carrot juice penay se dil ka arza nahin hota.
4: Is mein dusri sabziyon se kahin zayada ghazaiyat hoti hai is liye keh saktay hain ke is se nazar yani binai mein izafa hota hai.
5:  Carrot seeds (beej) bhi bay had maqwi aysab hote hain aur is se banai jane wali kanji jo ke namkeen hoti hai aur mazedar mashroob hai ye bhook barhati hai gharmi ki shiddat kam karti hai youn samjhain ke garmiyon ke liye behtareen tohfa hai agar mil jaye.
6: Carrot halwa aam tor par gulabi gajron se banaya jata hai ye 1 se 1/2 chatang se zayada nahin khana chahiye kyoun ke phir woh dawa nahin ghaza ban jata hai, ye dimagh jismani aur mardon ki kuwat ke liye acha hai.
7: Is ka achar mirch, namak aur rai mila kar banaya jata hai jo stomach aur jigar sahi rakhta hai.
8: Gajar ka murabba heart, brain aur kuwat mardi ko takat denay mein bay misal hai jo body weakness khatam karta hai.
9: Agar gajar ke beej aik tola aur gur adha seer pani mein josh de kar batoor joshanda haiz na anay wali aurat ko pilaye jayien tou arsa se ruka hua haiz khul jata hail, doran haiz dard ki surat mein bhi ye joshanda bay had mufeed hai.
10: Jis aurat ko bache ki paidesh ke waqt (use carrot during pregnancy) takleef ho rahi ho tou is ke aik khas tareeqa ke istemal se takleef se chutkara mil jata hai.
11: Yarqan walon ke liye carrot juice misri mila kar adha glass aik week tak pilana yaqeenan fayda deta hai.
12: Agar jism mein khoon ki kami ho tou is se kamzoori kafi zayada mehsoos hoti hai is surat haal mein bhi ye gajar behtareen naimat hai jo khoon mein izafa karne ka baes bhi banti hai.
13: Rokha hua aur beronaq sa chehra tou koi bhi pasand nahin karta aisay mein mukhtalif face cream products aur chehre ke liye totkay istemal kiye jatay hain par agar sahi agahi na ho tou un se koi faida hasil nahin hota aur aisay mein yeh sabzi gajar qudrati beauty tip ke tor par samne ati hai jo skin ko nikharne ke sath khubsurati aur chehre ko gulabi karne ke liye bhi behtar hai.

Ahtyat: Side Effects of Carrot: Gajat dair hazam hai pait mein dard paida karti hai isay hamesha cheeni namak aur garam masala laga kar khana chahiye isay munasib maqdar mein hi khana chahiye isay khane se pehle dhona laina chahiye aur khush kar ke khani chahiye warna ye khansi paida kar sakti hai maqdar se zayada khane se ye pait mein hawa paida karti hai.
logoblog

Thanks for reading Gajar Ke Faide In Urdu Carrot Benefits Urdu Gajar Ka Juice For Skin Health Beauty Tips

No comments:

Post a Comment