How To Play Chess Urdu Chess Rules Shatranj Khelne Ka Tarika Chess Tips Guide Tutotial

  Lal Gulab      
Learn Hindi Game Chess Rules In Urdu Shatranj Khelne Ka Tarika - Shatranj Kaise Khelte Hai? Shatranj khelne ka tarika kya hai? chess kaise khelte hain? agar aap chess khelna seekhna chahte hain tou is post ko parhain is mein step by step chess playing method bataya gaya hai jo ke easy chess lesson hai is ke ilawa agar aap chess techniques and strategies aur winning chess moveske bare mein janna chahte hain tou comment mein rabta karain.

Training Chess Guide In Urdu Chess Tutotial: 2 khaladiyon ke darmiyan aik muraba takhtay par kheele jane wala kheel hai ye kheel janoobi asia mein bar-e-sagheer ke khitay mein ijad aur takhleeq kiya gaya tha. Chess game zehni himat amli par mabni hoti hai.

Chess ke boxes ko mazeed 64 boxes mein banta jata hai ye box 2 muhktalif rangon maslan white aur black mein taqseem hote hain. Shatranj ke is takhtay ko basaat kehte hain aur ye degar kheelon ke liye bhi istemal hota, maslan drafts.  Chess ke takhtay ke har simat 8 box yani khanay hote hain. Donon khaladiyon ko kheel ke shuru mein alag alag 16 mohray diye jate hain jin mein aik badshah aik wazeer 2 feelay 2 horse 2 rukh aur 8 payaday shamil hote hain. Takhtay ke khanon ki tarah mohron ke bhi 2 mukhtalif rang safaid aur kala hote hain.

Kheel jeetne ke liye mukhtalif khaladi ke badshah ko sheh maat dena hoti hai. Mukhalif badshah ko maat karna hi kheel ka hadaf hota hai. Badshah ko barah-e-rast mara nahin jata albatabadshah ko sheh de kar is ko charon taraf se is tarah gheer lena ke badshah ke shubah se nikalne wale mumkina ird gird ke tamam qareebi khane mukhalif mohron ki zad pe hon aur kisi surat badshah ko sheh se nikalna mumkin na ho tou badshah maat yani sheh maat ho jata hai aur sheh maat karne wala khaladi jeetne wala qarar pata hai. Lekin agar badshah ko gheer lay magar sheh na ho aur koi mohra bhi harkat na kar sake tou paat ho jaye gi yani baghair haar jheet ke kheel khatam ho jata hai.

Tarikh: 600 eeswien mein ye kheel bar-e-sagheer mein mutarif hua phir ye kheel faras mein kheela jane laga phir Arab Muslims ne isay Muslim alam mein aam kiya. ye 1600 eeswien mein europe mein mutarif kiya gaya aur aaj ye dunya bhar mein croron ki tadad mein kheel jata hai ya tou log chess board par kheelte hain ya online chees play karte hain.

Aalmi Din: World chess federation 20 july 1924 ko Paris mein qaim ki gayi thi. 1966 se 20 july ko chess day ke tor par manaya jata hai.

Hindi Chess Pieces Names In Urdu: Tarteeb: Chess Positions Shatranj kheel ke liye aik takhta hota hai jis mein 64 muraba khane hote hain ye khane amooman safaid aur sayah rang ke hote hain har khaladi ke paas biltarteeb.
1 Badshah (King)
1 Wazeer (Queen)
2 Hathi yani feela (Bishop)
2 Ghoray (Knight)
2 Rukh (Rook)
8 sapahi ya payaday (Pawn)
hote hain aur ye fauj ya lashkar bhi amooman safaid aur sayah rang ke hote hain ye mohre khas tarteeb se takhtay par rakhe jate hain. Takhtay yani basat ke safaid koney ka har shatar ke dayain janib hona zaroori hai. Is kone par har shatar aik rukh ya toop rakh deta hai aur dusra rukh bayien janib ke sayah konay mein rakh deta hai is tarah basat ke charon konon mein aik aik rook hota hai donon yaksan rang ke rukhon ke agey wali line mein 8 payadey aik seed mein rakhe jate hain. Donon yaksan rukh ke darmiyani 6 boxes mein baqi 6 mohray is tarah rakhe jatay hain ke aik aik ghora har rukh ke sath aur aik aik feela har goray ke sath rakh detay hain. Badshah aur wazeer ko is tarah rakha jata hai ke badshah apne rang ke mukhalif rang ke khane mein aur wazeer apne rang ke khane mein rakha jata hai.

Mohron Ki Chalien - Chess Tips Urdu Tricks: Chess mein hamesha pehli bari white color ke mohron wale khaladi ki ati hai yani safaid mohray wala kheel shuru karta hai. Kheel ke start hote hi safaid mohray wale khaladi ka waqt shuru ho jata hai. Har shatar khaladi 1 chaal chalta hai is ke baad dusra khaladi chaal chalta hai har player chaal chalne ke baad shatranj ghari (clock) par mukhalif khaladi ke waqt ko chala deta hai.
logoblog

Thanks for reading How To Play Chess Urdu Chess Rules Shatranj Khelne Ka Tarika Chess Tips Guide Tutotial

No comments:

Post a Comment