Premature Babies Urdu Preeclampsia Treatment Blood Pressure In Pregnancy ilaj

  Lal Gulab      

Premature Babies In Urdu Preeclampsia Treatment Blood Pressure In Pregnancy ilaj

9 maheenay ka arsa guzaarne se pehle hi jo bache dunya mein ajatay hain un ki zindagi ka sub se khatarnak din woh hota hai jis din woh paida hote hain. Yehi woh din hota hai jub qabal az waqt paida hone wale un bachon mein moot aur mazoori ka sub se zayada khatra mehsoos kiya jata hai taham dunya bhar ke doctors ab ye koshish kar rahe hain keh Premature baby ki zindagi ko zayada mehfooz banayain. Har saal dunya bhar mein aik crore 50 lack bache waqt se pehle janam laite hain jin mein 10 lack zinda nahin rehte. Jo bache waqt se pehle paida hote hain un mein infection ka zayada imkan hota hai aur un ke liye saans laina mushkil ho sakta hai kyoun keh birth ke waqt tak un ke phephray puri tarah tashkeel nahin pa chukay hote hain. Ye baat abhi tak waziha nahin ho saki hai keh khuch bache waqt se pehle kyoun paida hote hain taham khuch cheezain aisi hain jo is imkan ko barha deti hain jo mandraja zail hain.

Reasons Causes of Preeclampsia Ki Wajah

Maa ki umar, baaz infections aur agar khatoon pehle bhi qabal az waqt bache ko janam de chuki hain tou dobara ye shikayat ho sakti hai. Hamal ka dorania aam tor par 40 hafton par mushtamil hota hai. Agar is arsay mein 3 haftay ya is se khuch aur pehle wazeh hamal ho jaye tou usay qabal az waqt paidaeh yani english mein Pre-term labour qarar diya jata hai. Qabal az waqt paidaesh ke waqiat un khawateen mein zayada dekhe jatay hain jin ka taluq ghareeb gharanon se hota hai ya jurwan ya zayada bachon ko janam deti hain ya jo Pre-eclampsia mein mubtla hoti hain.

Symptoms of Pre-eclampsia Definition

Is tibi surat haal mein blood pressure barh jata hai aur is ka ilaj mehz wazeh hamal hota hai is liye koshish karni chahiye ke kisi bhi tarah high blood pressure na ho. Woh khawateen jo malayria ya bukhar mein mubtla hoti hain un mein bhi qabal az waqt wiladat ho sakti hai. 2 saal pehle woh pehli report publish hoi thi jis mein ye bataya gaya tha keh dunya bhar mein qabal az waqt paida hone wale bachon ki sharah amwat kya hai. "Born Too Soon" ke naam se publish hone wali is report mein bataya gaya tha keh kam qeemat ilaj ke zariye har saal waqt se pehle paida hone wale bachon mein se 3 chothai amwat ko roka ja sakta hai. Jadeed medicines se is qisam ki amwat ki sharah kam karne mein madad mili hai aur jin bachon ne kam az kam 23 haftay shikam madar mein guzaray hain unhain bhi zinda rakhne mein kamyabi hasil ki gayi hai. Is tarah dekha jaye tou mamool ke hamal se taqreeban adhay se khuch zayada arsa agar bache ya bachi ne maa ke pait mein waqt guzara hai tou bhi us ki zindagi bachai ja sakti hai. Is hawalay se ameer aur ghareeb mulkon mein bara gehra farq paya gaya hai. Dunya bhar mein jitne bhi bache qabal az waqt paida hote hain un ki 2 tahai tadad sirf 15 mulkon mein payi jati hai. Taraqi yafta mulkon mein jo bache 24 haftay ke hamal ke baad paida hote hain un mein se adhay zinda rehte hain jabkeh 32 hafton ke hamal ke baad taraqi pazeer dunya mein paida hone wale adhay bache inteqal kar jatay hain. Report mein is surat haal ko zindagi ki khaleej qarar diya gaya hai.

ilaj Preeclampsia Treatment In Urdu

Bharat un countries mein pehle number par hai jahan sub se zayada bache waqt se pehle paida hote hain. Wahan 5 saal se kam umar bachon mein jo amwat hoti hain un mein 60% newborn babies  ki hoti hai. Goa ke medical college mein tibi mahireen is surat haal ko tabdeel karne ke liye koshan hain aur is zaman mein jo iqdamat kiye ja rahe hain un ka bunyadi maqsad infections ko rokna hai. Qabal az waqt paida hone wale bachon ko zinda rakhe ke imkanat behtar banane ke liye aik aur kam kharch tareeqa ye ikhtyar kiya gaya keh mothers ko Corticosteroid injections lagaye jate hain jin ki price bohat kam hoti hai. Ye injections adhay dollar se khuch zayada qeemat par bharat mein available hota hai. Is injection se paidaesh se pehle bache ke phephray zayada behtar ho jate hain jis se saans laine ki mushkilat taqreeban adhi reh jati hain.

Pregnancy Induced Hypertension Effects on Baby In Hindi

Side effects of Pre-eclampsia - Qabal Az Waqt Paidaes Ke Masail Problems For Newborn Babies Pre-mature

Jo bache waqt se pehle dunya mein aa jatay hain yani 28 haftay se bhi pehle un ke sath lungs problem ke ilawa resha ki bimari (Cerebral Palsy) aur seekhne ki dushwariyan bhi ho sakti hain. Jo bache khuch weeks pehle bhi paida hote hain woh bhi pure waqt par paida hone wale bachon ke muqablay mein aksar bimar rehte hain aur unhain aksar o baishtar hospital lay jane ki zaroorat paish aati hai. Zehni salahitain kam tar hone ke ilawa un mein eye sight problem ka khatra barha hua hota hai. Aise bachon ki eyes ke peechay blood viens achi tarah tashkeel nahin pati hain aur ghair munazam andaz mein un naliyon ki afzaesh hoti hai jis ke natijay mein parda chasham par zakham se ban jate hain aur parda apni jagah se hat jata hai. Is ka khatra us oxygen therapy se bhi barh jata hai jo un bachon ki saans ki takleef door karne ke liye di jati hai. Is liye bachon ko oxygen dete hue un ki heart beat aur saans laine ki raftar ki monitering bohat zaroori hoti hai. Is ke sath ye bhi dekha jata hai keh kitni oxygen aur us ki nagrani bhi ki jati hai.
logoblog

Thanks for reading Premature Babies Urdu Preeclampsia Treatment Blood Pressure In Pregnancy ilaj

No comments:

Post a Comment